SHAHABA-E-RASOOL KA MARTABA AUR KOL-E-RASOOL (RADDIALLAHOANHO) (SALLALAHO-ALEHE WASALLAM)

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 SHAHABA-E-RASOOL KA MARTABAH AUR KAUL-E-RASOOL (RADDIALLAHOANHO) (SAL’LALAHO-ALAIHE WASALLAM) 🥀*



◼Part:@14

✏Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki 
🌹Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

✏Logo’n Par Aik Aisa Zamana Aayega Jis Me Woh Aik Lashkar Ko Jang Ke Liye Rawaana Karenge, Log Kahenge Dekho’n In Me Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Koi Sahabi Hai ?
✏Phir Aik Shakhs Mil Jaayega Aur Un Ko Us Kee Barkat Se Fateh Haasil Ho Jaayegi, 
✏Phir Aik Doosra Lashkar Rawaana Kiya Jaayega Log Kahenge :
Kya In Me Koi Aisa Shakhs Hai Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke As’hab Ko Dekha Ho ?
✏Phir Us Kee Barkat Se Un Ko Fateh Haasil Ho Jaayegi 
✏Phir Aik Teesra Lashkar Rawaana Kiya Jaayega Aur Yeh Kaha Jaayega Dekho Kya In Me Koi Aisa Shakhs Hai Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke As’hab Ko Dekhne Waale Ko Dekha Ho (?
Phir Us Kee Barkat Se Un Ko Fateh Haasil Ho Jaayegi) 
✏Phir Aik Chautha Lashkar Rawaana Kiya Jaayega Phir Kaha Jaayega Dekho Tum In Me Se Koi Aisa Shakhs Dekhte Ho’n Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke As’hab Ke Dekhne Waalo’n Me Se Kisi Aik Shakhs Ko Dekha Ho Phir Aik Shkahs Mil Jaayega Aur Us Kee Barkat Se Fateh Haasil Ho Jaayegi.”

📓Is Hadith Ko Imam Musim Ne Riwayat Kiya Hai.
📚[Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqam-2532,
📚Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/263, Raqam-973,
📚Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/42, 43, Raqam-30.]



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

सहाबी ए रसूल ﷺ को काफिर कहने वाले मौलवी का नाम क्या है*

SHAHABA-E-RASOOL KA MARTABA AUR KOL-E-RASOOL (RADDIALLAHOANHO) (SALLALAHO-ALEHE WASALLAM)