SHAHABA-E-RASOOL KA MARTABA AUR KOL-E-RASOOL (RADDIALLAHOANHO) (SALLALAHO-ALEHE WASALLAM)

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 SHAHABA-E-RASOOL KA MARTABAH AUR KAUL-E-RASOOL (RADDIALLAHOANHO) (SAL’LALAHO-ALAIHE WASALLAM) 🥀*



◼Part:@09

✏“Hazrat Abdullah Bin Mawla RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Jab Mein Ahwaaz Me Chal Raha Tha To Achaanak Apne Saamne Mein Ne Aik Aaddami Ko Khacchar Par Sawaar Dekha Aur Woh Keh Raha Tha 
✏Aye Allah, Mere Zamaane Ke Log Is Ummat Se Jaa Chuke Hain Aye Allah, Mujhe Un Ke Saath Mila De Mein Ne Kaha :
✏Mein Bhi Tumhaati Du’aa Me Daakhil Hona Chaahta Hoo’n To Woh Aadmi Kehne Laga Aur Mera Yeh Dost Bhi (Ya’ni Is Ko Bhi Un Ke Saath Mila De) Agar Yeh Isi Tarah Ka Iraadah Rakhta Hai Woh Kehne Laga Ki 

🌹Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
✏Meri Ummat Me Se Behtarin Zamaana Mera Zamaana Hai
Phir Un Logo’n Ka Zamaana Hai Jo Mere Zamaane Ke Saath Mile Huwe Hain
Phir Un Logo’n Ka Zamaana Jo Us Ke Saath Mile Huwe Hain 
✏Raawi Kehte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Teesri Martaba Aisa Farmaya Ya Nahin Phir Un Ke Baa’d Aisi Qaum Aa’egi Jin Me Se Motaapa Bohat Ziyaada Paaya Jaa’ega Woh Shahadat Ke Liye Khoon Bahaaenge Lekin Us Ka Sawaal Nahin Karenge Phir Mein Ne Dekha (Aisa Kehne Waale) Buraydah Aslami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu They.”
📓Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Aboo Ya’la Ne Riwayat Kiya Hai.
📚[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/350, Raqam-23010,
📚Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/416, Raqam-8420,
📚Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/39, Raqam-299,
Kanz-ul-Inabah Fi
📚Manaqib-is-Sahabah,/26, 27, Raqam-06.]



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

सहाबी ए रसूल ﷺ को काफिर कहने वाले मौलवी का नाम क्या है*

SHAHABA-E-RASOOL KA MARTABA AUR KOL-E-RASOOL (RADDIALLAHOANHO) (SALLALAHO-ALEHE WASALLAM)